#318Hindi Spiritual Song
Anand Se Bhar Kar Jaayenge Hum Sub (Siyon)
Anand se bahr kar jaayenge hum sub
Gateh huve Siyon ke taraf (2)
1. Sare jagat me koi anand nahi mere -Pyare Prabhu ne bataya sahi
Dhukh aur musibat uthao ge pyaro-Thodi der aur aab baki rahi
2. Misar ko chodh kar bhaiyo par aab chalo
Banjar zamin me sirf dera karo
Canaani desh par nazar uthao
Kyonki hame yaha sada rehena nahi
3. Marah rafidim mein aao re lekin - Yesu par pura bharosa dharo
Wohi le jayega wohi bachayega - Vaada kabhi uska talta nahi
4. Yesu ke sath sath aage bado aur -Misar ki ichaon ko chodo sabhi
Tabera ke bedino ke papo mein - Bhaiyo tum hargiz milo hi nahi
5. Swarg par hamara watan hai ek hi - Jaha se aayega pyara
Yisu Masih Siyon ke gane gayenge milkar
Dhukh aur taklif waha hogi nahi
