18px
#275Hindi Spiritual Song

Param Pita Ki Hum Stuti Gaye

Param pita ki hum stuti gaye - wahi hi hai jo bachata hume, Sare papon ko karta kshama - Sare rogon ko karta changa ||
Dhanyavad de uske aasano may, anand se aaye uske charano may| Sangit gake khushi se, mukti ki chattan - ko jay lalkare|
Woh hi hamara hai param pita, taras khata hai sarva sada| purab se pashhim hai jitani dur, utane hi dur kiye hamare gunah|
Maa ki tarah usne di tasalli, duniya ke khataron me choda nahi| Nirmal dudh hai vachan ka diya, Aur diya humko anant jeevan