#293Hindi Spiritual Song
Masih Lene Unhinko Ata
Masih lene unhinko ata jo jaiwant wishwasi hain
Honge waris sab wastu ka jo sampurn usi ke hain
1. Bat jo us ki johte hain taiyar ab sab jo hain
Ana us ka jo priya jante lene unhin ko ata hai
2. Yishu n echelon se kaha tha aunga phir se main
Taiyar kar ke jagah main tum ko le jaunga jahan hun main
3. Jo masih ke sath sath chalet jag se alag jo hain
Jagte jo rahte aur wish-wasyogya, aison - ko lene ata hai
4. Palak bhar men rupantar honge, badal men pahunchenge
Milenge pyare Yishu se, jo ham ko taiyar karta hai
5. Siddh, pawitra, nirdosh banakar, sanmukh hamen laega
Inam tab ham sab Prabhu se lenge, Yishu ki yah ichchha
6. Sada Us kon ham sab bhajenge, aur sath rahenge,
Kaise adbhut din tab honge, ham sab yad karte hain
