18px
#294Hindi Spiritual Song

Jaenge Uttam Ek Desh Men Zarur

Jaenge uttam ek desh men zarur Rahenge Prabhu ke sath ham zarur Swargiya desh uttam bhi wah hai Hamara wah desh jo adbhut hai
1. Pita ko bhaya hai hamen ik rajya de Duniya ki srishti se pahle banaya hai
2. Adbhut wah nager hai Ishwar ki rachna hai Drirhta se new dali sthir bhi kiya hai
3. Pawitra nagar wah hai dharmikta rahti hai Sawrgiya swabhaw se taiyar bhi kiya hai
4. Sanatan rajya wah - hai yuganuyug wah rahe Rahenge sada us men - jin ko us ne chuna hai
5. Prabhu ko dekhenge anand se bhar jaenge Us ke saman honge hamara jiwan wah hai