18px
#298Hindi Spiritual Song

Dwar Anugarah Ka Khula Ab Hai

Dwar anugarah ka khula ab hai Shighra ao Yishu bulata hai
1. Nash koi na ho Prabhu chahta hai Sab uddhar paen Prabhu dhiraj dharta hai Man pariwartan ka awasar yah hai Isliye prabhu ab bulata hai
2. Jab tak yah dwar khula hua hai Pyar se Prabhu tumhen yah kahra hai Prawesh karo meri yah ichchha hai Isliye prabhu ab bulata hai
3. Rat bahut ab biti din nikalta hai Pap ke kamon ko tyago Prabhu kahta hai Dharmikta ka suraj uday hota hai Ho jao taiyar ab Prabhu ata hai
4. Adhi rat ko dhum machi Dulha ata hai Bhent Karen ke liye tumhen jana hai Chal denge we hi jo taiyar ab hai Baad men Prabhu dwar band karta hai
5. Jana chahte ho yadi taiyar hona hai Yishu ke lohu se tumhen kshama leni hai Adar ke sath tumhen prawesh karma hai Premi pita ki yahi mansa hai