#297Hindi Spiritual Song
Phir Main Ne Dekha Naya Akash (Revelation 21)
Phir main ne dekha naya akash aur nayi prithwi bhi
Jis men hai shanty anand jyothi mahima tej bhi
Pahili prithwi bhi jati rahi aur akash bhi
Samudra ab to chal basa sari vastu bhi
1. Wah rajya Parmeshwar - ka kaisa adbhut bhi
Agamya jyoti jis men - hai aur memne ka tej bhi
Charon taraf jo shaharpanah - hai bahut surakshit bhi
Memne ki stuti yug -yug hogi aradhana bhi
2. Pawitra nagar naye - yarushalem ko swarg se
Utarte dekha parmeshwar ke pas ate bhi
Singari hui dulhin saman kaisi sundar bhi
Jo apne pati ke liye bilkul taiyar bhi
3. Sinhasan men se unche - shabd se koi kahta bhi
Ki dekho parmeshwar -ka dera manushya Madhya men bhi
Wah unke sath niwas - karega sath rahega bhi
Aur we sab uske log - honge aur wah prabhu bhi
4. Ankhon se unki ansu - wah sab ponchhega tab hi
Aur us ke baad mrithyu - na hogi aur na shok bhi
Na wilap aur na pira hogi aur na shrap bhi
Ratri to wahan hai nahin dipak jo memna hi
5. Wah dhanya hai jo jay - paye aur bastra safed bhi
Wahi in sab bastion ka waris howe bhi
Prabhu unka Ishwar hoga aur we putra bhi
Anand ke sath we rajya karenge yuganuyug bhi
6. He Ishwar se sab darnewale ho taiyar bhi
Uske adbhut rajya men raho uski ichha thi
Memne ke jiwan pustak men nam jinke
Kahe unko tum adar ke sath prawes karo bhi
