#300Hindi Spiritual Song
Yishu Ka Lahu Anupam Hai Jo
Yishu ka lahu anupam hai jo
Pap sab dhone ko - bhaiyo
Prem sab dhone ko
1. Dekho zara bhai Ishwar ne kaisa - prem kiya jagat se
Bhaiyo - prem kiya jagat se - Bheja tha usne Yishu Masih ko
Pran krus par dene ko - bhaiyo - pran krus par deno ko
2. Yishu masih ne jagat mian - akar pran kiya balidan
Bhaiyo - pran kiya balidan - Papi jagat ka pap utha kar
Krus par diya pran - bhaiyo krus par diya pran
3. Suno zara bhai Yishu Masih ka - swargiya samachar
Bhaiyo - swargiya samachar - Pawitra aur swargiya prem ka
Karte hain ham prachar - bhaiyo karte hain ham prachar
4. Saral wishwas aur tute hriday se - maango kshama us se
Bhaiyo - maango kshama us se - Yishu ke unmol lahu ki dhara
Dhota hai papon ko - bhaiyo dhota hai papon ko
5. Pap ka bhar kar bai - jaoge kahan tak - Bhaiyo jaoge kahan tak
Yishu Masih ke sharan main ao
Pap apna maan kar - bhaiyo pap apna maan kar
6. Bit raha hai yah chhhota jiwan - shighra hi aajao
Bhaiyo - shighra hi ajao
Wishwas lakar Yishu Prabhu par
Uddhar pa jao - bhaiyo uddhar pa jao
7. Shanti aur anand pawitra prem ke - ho jao bhagidar
Bhaiyo - ho jao bhagidar - Pap sagar se par karane
Yishu hai taranhar - bhaiyo Yishu hai taranhar.
