18px
#301Hindi Spiritual Song

Yishu Tujhe Bulate Hai Aj

Yishu tujhe bulate hai aj - Sun le dhyan se madhur awaz
1. Lahu kalwari par bahaya - Sab sankat duhh wah saha Prem kiya jagat ke liye wah Karuna se hath phailaya graham karne ko
2. Masih prem ko jan lo tum - Sthir man ko kar lo hi tum Uski lambai chaurai gaharai - Kitni unchi samjho aj tum nikat a jao
3. Priti se hi Yishu Prabhu ne - Pran diya tere liye Jiske dwara prem main jana - Aj anubhaw karlo usko pap maan lo
4. Bhale se wah chheda gaya tha - Prem se sab wedana saha tha Samapt karke sir jhukaya - Sab ka wah srishtikarta sharan uski lo
5. Manushya jagat kop aye - Aur prank i hani uthaye Labh kya hai aj tum socho - Us ke charanon men tum akar wishram pa jao