18px
#308Hindi Spiritual Song

Kaun Hai Yishu Jante Ho

Kaun hai Yishu jante ho - Aj main batata hun sunlo Dhyan apna do jaldi ao uddhar pa jao
1. Prabhuon ka Prabhu Yishu hai - Manaw janam men aya jag men Maara gaya aur phir ji utha - Sab ko pap se churane ko
2. Prabhu Yishu hi dhanwan hai - Daridra banker aya jag men Rup swarup apna wah khoya - Sab ko pap se chhurane ko
3. Papi ka tarak Yishu hi hai - Krus par khun wah bahaya hai Pap jo mante pashchatap karte - Dhota lahu se un sab ko
4. Jan lo Yishu hai Parmeshwar - Aega rajaon ka raja hokar Jo manenge swarg men rakhega - Narak hi unko mane na jo
5. Yishu ka main pratinidhi banker - Ishwar ke prem ki gawahi dekar Binti karta hun winay se tum se - Aj hi mano Prabhu Yishu ko.