#309Hindi Spiritual Song
Mere Liye Pyare Yishu Sab Kuchh Kiya Hai
Mere liye pyare Yishu sab kuchh kiya hai
Dar mera is duniya se hata diya hai
Mere liye krus pran sada kuchh kiya isliye
Uddhar ka katora lekar stuti karun main
1. Akal men tu Eliyah ka poshan kiya hai
Akal ke baad Eliyah ko ashish diya hai
Akal jane tak usi widhwa ke ghar men
Kabhi tel ki ya ate kin a ghati huyi hai
2. Akash ke sab pakshiyon ko dhyan se dekho
Bote hain na jotte hain we na chinta unko
Poshan unka Parmeshwar - hi karta hai nishchay
Hamen adbhut riti sambhalega pratidin nishchay
3. Kya pahinenga chinta iski jara na karo
Jangal men ke sosanon ko jara niharo
Jangal ke pushpin ko Prabhu shobhit karte hai
Wahi mahima riti ke wastra ham ko nishchit deta hai
4. Anewale kal ki chinta kabhi na karo
Prabhu Yishu sath hai sada kabhi na daro
Kal ki chinta kal ka din hi ap kar lega
Jag men aj ka dukh aj ke liye hi kaphi hai
5. Prabhu Yishu ne jangal - men ashishen di hain
Panch hajar logon ko wah bhojan diya hai
Prati awashyakta Prabhu puri karte hai
Hamse prem karke apnea p ko arpan kiya hai
