18px
#320Hindi Spiritual Song

Yishu Prabhu Tu Ne, Sab Kuch Mere Liye Diya

Yishu Prabhu Tu ne, Sab kuch mere liye diya Prem ki khatir, Apne Ap ko de diay
1. Sir diya Tu ne ki kanton ka mukut, Pahne mere pap ke liye, Wedna bari thi sahne se bahar, Prem se yah sab kuchh saha
2. Ankhen di Tu ne ki ansu bahae, Dekn kar meri dashaa… ko Kaisa dukh tha Tere hriday men - Mere liye hi Tu roya
3. Kore khae Tu ne sare badan men - Mans tera bahar nikla tha, Lohu luhan tha sara sharer bhi - Hal chalne ka dag hua
4. Hath paun men Tere, kilen thoki thi - Pasli men bhala wah mare, Kaise bataun Tujh par jo hua -Chup chap yah saba Tu ne saha
5. Kaisa yah prayashchit mere liye hua, Mujh ko pap se chhura ne ko Paya Prabhu ain mahan uddhar ko, Pashchatap ke dwara ye hua
6. Kaisa adbhut yah prem Prabhu Tera-Kyon mujh se prem itna kiya? Abhari main hum charnon men Tere - Apna mujhe Tu banaya
7. Yojna jo Teri mere liye thi - Miras ko main Prabhu paun Sada main tere sath jo rahunga - Yah adhikar Tu ne diya