#321Hindi Spiritual Song
Dekho, Dekho, Koi A Raha Hai
Dekho, dekho, koi a raha hai, Kaisa jalwa Massih a raha hai
Ankhen apni utha kar to dekho, Kaise shan se Masih a raha hai
1. Wah kaise sawari hai dekho - Asman ki bedari to dekho
Baje bajte hain, doot gate hain, Kyonki Dulha chala a raha hai
2. Vahan suraj aur chand hai na koi - Ab to murde pare hain na koi
Ham sab darte hain, aur kampte hain Nyay karne Massih a raha hai
3. Yah duniya hamari mitegi, Ek nai duniya phir se banegi,
Sab naya hoga, jag naya hoga - Raj karne Massih a raha hai
4. Ab nahin hai wah kanton ka serah,
Wah to pahine hai, dulhaka serah
Zindagi jab tak, Kaisi pyari dulhin,
Jis ko lene Massih a raha hai
