#258Hindi Spiritual Song
Sari Srishti Ke Maalik Thumhi Ho
Sari srishti ke maalik thumhi ho, Sari srishti rakshak thumhi ho
Karte hain tujhko sadar pranaam, Gaate hain tere gun gaan
Aa Aaa Alleluia (7) - Aa Aa Amen
Sari sansar ko tera sahara, sare sankatse hamko bachaana
Teri hathon mein jeevan hamara hai, apni raha par hamko chalana
Ham hain tere hathon ki rachana, ham par rahe teri karuna
Tan man dhan hamara tera hai, Inhe shaitan ko chhoone na dena
Ab door nahi kinara, dhiraj ko hamare badana
Jeevan ki hamari is nayya ko, bhavsaagar mein khone na dena
