#259Hindi Spiritual Song
Rub Ki Hove Sanaa Hamesha
Rub ki hove sanaa hamesha, rub ki hove sanaa
Rub ki hove madaa saraai, vuske naam ki sanaa
Vuski naam ki sanaa, hamesha rub ki hove sanaa
Rub ke ghar mai hove sithaish, vuski humd ho sanaa
Kaamo mai he vah kaisa kaadir, vuski kudarath batha
Jai ke jor se foonko narsinge barbath veena baja
Thaar daar saajom pai ragini chedo, duf aur thable baja
Baasuri per sunaa sure surili, jan jan janj baja
Saare milkar thaali bajaavo, gaavo rubki sanaa
