#279Hindi Spiritual Song
Pavan Hai Woh Prabhu Hamara
Pavan hai woh prabhu hamara, uske jaijaikar karo,
Nirbal ka woh bal hai nyara, uski jaijaikar karo, Jai ho (3)
Deen dukhiyon ka woh hai data, bhatke hunwoh ko rah dikhata
sidhe marg me hume chalata, uski jai jai kar karo. Jai ho (3)
Prabhu hamara bada mahan, nirbudhiyon ko deta gyan
paapiyon ke woh bachata pran - uski jai jai kar karo. Jai ho (3)
Prabhu ki mahima aparampar - jag ka hai woh taranhar
mano use apna adhar - uski jai jai kar karo Jai ho (3)
