#280Hindi Spiritual Song
Gaunga Teri Stuti, He Prabhu Tu Mahan Hai
Gaunga teri stuti, he prabhu tu mahan hai
tu dukhon ko hatanewala - Paaponse bachane wala
shaitan ke phande se chudata hai
Jag me jab khota hun - prem tera bhulta hun -
charwaha yeshu tu banker - daya se mujko dhund kar
sachche marg me tu lata hai - kaisa adboot woh anand
wapas aane se hai - dil mera abhari ho gaya hai
Andhiya uthati hai jab - tufan darata hai tab
bhaybhit jab main hota hun - Vusi waqt pass tu aakar
dhadas mujhe tu dekar - nirbhay mujhe tu karta hai
sachcha pita tu mera - tu hai sahara mera
mahima,adhar,prashansa - tujhi ko hai
Tera vachan jab manta - arpan apne ko karta
hath tera pakad leta hun - tab mera sath tu dekar
shanti anand se bharkar - nirasha door tu karta hai
jaan jata hun main tabi - prem tera hai wahi
hridya stuti se bhar gaya hai.
