18px
#281Hindi Spiritual Song

Yahowa Prabhu Mere (Psalm 8)

Yahowa prabhu mere - bhumi akash men Mahimamay nam tera mahan hai
1. Palta lenewale shatru ko roke Prabhaw ye nanhon ki aradhana ka Sthapit kiya ye drirh garh tune Ashray sthan main paun jisme
2. Akash aur chandrama aur taragan Hanthon ka kam tere dekhta kshan kshan Kya hai manushy kit u karta smaran Sudhi yu le uski kya hai karan
3. Kyon ki prabhu tune swarg duton se Thora sa hi kam hai thahraya use Mahima our pratasp ka mukut magar Pahinaya hai tune uske sir par
4. Akash ke pakshi samudai machhliyan Jangal ke janwar aur bheren bakariyan Panw tale uske tu sab kuchh kiya Kamon par apne hai adhikar diya
5. He yahowa tu hai prabhu hamara Kitna pratapmay hai nam prabhu tera Diya hai tu hamen swarup tera Tera hi nam dwara Halleluyah