#282Hindi Spiritual Song
Prabhu Yishu Tere Pawan Nam Ki
Prabhu Yishu tere pawan nam ki
Prashansa stuti ho sarwada
1. Swarg aur prithwi par uncha tera nam
Prabhawshali hai tere nam
Santon ke pradhansa yogya hai yah nam
2. Shaitan aur patal ko haraya yah nam
Jaiwant hua hai tere nam
Hamen wi jayi banaya hai yah nam
3. Papiyon ke sab pap mitane
Duniya men aya hai pyara nam
Hamen swarg men le jata hai yah ham
4. Uttam santgan prashansa karte hain
Unche parmeshwar ka hai yah nam
Sari duniya men sab se mahan yah nam
5. Dukh wipatti aur pariksha ke samay
Sada sambhalega yah sachcha nam
Sari rukawaten hatata hai yah nam
