#283Hindi Spiritual Song
Ao Karen Sashtang Pranam
Ao Karen sashtang pranam
Atma aur sachchai se prabhu Yishu ko
A- a - a ao karen
1. Musa se wah shresht hai - Anugrah us se milta hai
Jhuthi upasna se ghin hai - Bhajo prem se bhakto use a-a-a
2. Harun se wah shresht hai - Wah swargiya yajak hamara hai
Purn pawitrata wah hai - Bhajo sidhe man se use
3. Mandir se wah shresht hai - Mandir menus ki mahima hai
Mandir ham ko banaya hai - Bhajo pawitrate se use
4. Yona se wah shresht hai - Papi ka dhunrhne wala hai
Papon ko us ne uthaya hai - Bhajo pure dil se use
5. Suleman se shresht hai - Sarwa gyan ki paipurnta hai
Antar was wah karta hai - Bhajo kharai se us
6. Rajaon se shresht hai - Swarg jag men us ki mahima hai
Shaktiman parmeshwar hai - Bhajo nityanitya use
7. Sabon se wah shresht hai - Sabhon ko sambhale rakhta hai
Halleluyah ke yogya wah hai - Bhajo sare bal se use
