18px
#284Hindi Spiritual Song

Ai Premi Yishu Tu Ne Jo Pyar Ham Se Kiya

Ai premi Yishu tu ne jo pyar ham se kiya Ham yad karte jhukte mukti ka anand diya
1. Balidan tera adbhut jo sab ke liye hua Sab ke papon ke badle prayaschit tu ne kiya
2. Bandhuwe the ham misr - men bheja tu ne musa ko Balwant bhuja ke dwara - swatantra hamko kiya
3. Mafi ka anand se kar age chalaya ham ko Yatra men sath rah kar vijay ka jiwan diya
4. Jangal men nadi bahai marubhumi men sota Banjar bhumi ko phalwant hara bhara bhi kiya
5. Babul se tu chhuraya - har bandhan ko hai tora Jhuthi shiksha se ham ko - prabhu tu ne bachaya
6. Sangat men hamen hai - laya mandli ka ang banaya Gawah ham ko bana ke - shatru ko lajjit kiya
7. Ai mahapremi Yishu ye - sab kuchh tu ne kiya Adar prashansa karte - mahan udder jo diya.