18px
#286Hindi Spiritual Song

Stuti Mahima Bhakti Adar

Stuti mahima bhakti adar yug yug tera hain Kitna wishwasyog iswar hai
1. Prabhuji ham ko tu ne diya - hai kaisa anand ka din hai Ham sab anandit ho kar ke - khushiyan manate hain Kitni bhalaiyan tu ne ki - hai bhul nahin sakte hain
2. He prabhu! Tu hi mahan - ishwar hai mahan karya karte hai Tera anugrath sada kal tak kripa adbut hai Anand ke sath ham teri barai stuti karte hain
3. Hard i naihoti rahti hai karuna teri mahan hai Ter anupam nam ki ham sab kirti gate hain He karunamay prabhu parneshwar stuti karte hain
4. Tu hi hamara param prabhu - hai apni ichchha pur ki hai Jiwan dekar atma se apne - se apne ham ko chalata hai Sidhe logon ki bhumi par - teri sewa karte hain
5. Ninda wedna dukh aur pira - ham sab ke liye saha hai Myityu ko jitkar shaitan ke - bal ko prabhu hataya hai Phir se prabhu tu anewala - hai jai prabhu teri hai