#295Hindi Spiritual Song
Prakashmay Jo Adbhut Desh Wah (Heaven)
Prakashmay jo adbhut desh wah
Priya desh hai wah aur manohar hai wah
1. Pap rahit desh wah - hai ar shrap jahan dekh na pare
Sada ka aand sada git jahan - Akash men hosanna Halleluyah
2. Suraj chand hai nahin - phir bhi andhkar hai nahin
Ishwar ka putra jyoti wahi hai - Har din jyoti dega sada din
3. Jhuthi shiksha hai nahin - koi dal ya jhund bhi hai
Ek kutumb aur ek hi malik hai
Prem se bhara desh wah hai ham jaenge
4. Prashna wahan nahin - hai na garbar koi bhi hai
Jati kul aur bhasha our rang bhi
Koi wahan nahin hai kewal prem
5. Yojna koi hai nahin na widhi - widhan wahan hai
Na koi kaid aur koi dand hai
Manushya ki prabhuta wahan nahin hai
6. Bazar wahan hai nahin - na daftar karkhana hai
Dhani na garib chhote na bare
Wibhed wahan nahin hai ham ek hai
7. Yishu ke lahu se yadi - pap dhoye to wahan jaoge
Khona nahin tum aisi ashish ko - Bahut hi dhanya jo hain ao
