#296Hindi Spiritual Song
Yatri Hun Main Jag Men Prabhuji
Yatri hun main jag men Prabhuji - Chalta hun marg main tera
Wah nisha! tu hai Yishuji - Bandargah tu mera
1. Socha tha main yah jag mera - Khes kutumb sab hai pyara
Dhokha sab koi na sahara - Wyarth hi wyarth hai sara
2. Dhasn daulat sab man wa izzat - Yahin rahega jal jaega
Yah jagat pap se jo bhara - Shrap hi shrap hai sara
3. Aisa kar Prabhu ant main janun - Aur janun meri ayu ke din ko
Ab bata! Kaisa anitya hun - Khedit hun main pura
4. Jan gaya main us din Prabhuji - Badla jiwan lohu se mera
Bara anand! Tu ne kaha tha - Pap kshama hua tera
5. Is jag men ab main hun musafir - Krus utha kar chalta rahunga
Paya main! Anmol dhan ko - Hai jo yishu se bhara
6. Ankh jab meri band ho jae - Yatra meri puri ho jae
Pahunchun main! Swargiya watan men - Yah hai git ab mera
