#302Hindi Spiritual Song
Main Hun Pai Jag Men Khoya
Main hun pai jag men khoya - Mujh ko kaun bachae
He Prabhu Yishu asha rahit hun - Tujh se ash lagae
1. Prabhu Yishu tu jag men aya - Papi ko pap se bachane
Main hun abhaga teri sharan hun - Aur koi kam na aye
2. Jiwan banker jag men tu aya - Pap men murda main hun
Mrityu ke bandhan men jo bandha hun - Is se kaun ab chhurae
3. Janam se papi main jo malin hun -Papi swabhaw men main janma
Karm se pap aur bat wichar se - Tere wiruddh hai pap kiya
4. Dharam ke kam aur yatna bhi karta - Dan aur punya bhi kitne
Riti niti se main jo phansa hun - Kaun ab par karae
5. Pap aur sharp ka dand uthaya - Mere badle men pran diya
Lahu bahaya sab kuehh diya - Taki main papi bach jaun
