#310Hindi Spiritual Song
He Prabhu Tu Hi Jaiwant Sada Hai
He Prabhu tu hi jaiwant sada hai Jai geet ham gate hain
1. Papon ke karan bigare hue ham - Uddhar hamara kiya hai
Kritagyata se hriday bhara hai - Stuti teri karte hain
2. Adharm se bhara jiwan hamara - Tujh hi men sthir wah hua hai
Ham par prakashit hua Prabhu tu - Suraj dharmikta ka hai
3. Awagyakari agyani ham hain - Ashishen khoyi ham hoin
Aishwary mahima gyan de ke apna - Ham par daya kiya hai
4. Shatru ke phande men ham jo phanse the Nijdhan hone chun liya hai
Dar-bhay ki halat se ham ko chhuraya - Nirbhay hamen kiya hai
5. Yuddh mera hai chup ho aur dekho Chhutkara dunga tumehn main
Aisa hi kah ke paksh men hamare - Yuddh tu hi kiy hai
6. Masih Yishu men harek jagah men Wijay ke utsaw men hamen
Liye tu phirta sugandh phailata - Mahima Prabhu teri hai
7. Wishwasyogyata pragat tu kiya - Ham parkripa tu kiya hai
Anathon ka tu his basaya - Halleluyah ham gaenge
