#311Hindi Spiritual Song
Yojnaen Jo Hain Yishu Ki
Yojnaen jo hain Yishu ki badalti na kabhi
Yug-yug eksa hai Yishu shan yah hai uski
1. Apni praja ko misr se - chhurane Musa ko chun liya
Adbhut apne kam kitne unke liye hai kiya
Aguwai Musa ki mane nahi par aguwa usi - ko kiya
2. Parwat oar ke namune anusar niwassthan - khara kiya
Parde banake angan ke jag alag hai kiya
Parmeshwar ka karya pura Musa hai kiya
3. Sampurn hua niwas - sthan ka kam badal tab aya
Sundar megh stambh banker - wah tambu par chha gaya
Sara- niwas sthan tej se - bhara mahima Prabhu paya
4. Mera jo sab tumhara - hai ye Prabhu Yishu ne kaha
Mahimamay Prabhu sab - kuchh diya anugrah ham parkiya
Mahima Prabhu ki karte - rahen apne jiwan men sada
5. Ao santgan ham gaen - gungan Khrist prabhuka hi
Ao is jag men puri Karen ichchha Ishwar ki
Adar mahima deta rahen Yishu Prabhu ko hi
