#328Hindi Spiritual Song
Stuti Prashansa He Prabhu
Stuti Prashansa he prabhu, Mein Gavu baar baar
Mahan Udhar de diya, Dil Shant kar Diya (2)
1. Sansar ke phande mein tha, Paapon ka daas tha..
Lahu ki shakthi se prabhu, Tunne chudaa diya.
2. Paapon ke bhaar se, Jeevan mera dukhee huva
Prabhu ne bhoj vuta liya, Dhuk dard sab hata
3. Andhera manme tha mere, Path se bhatak gaya
Ujiyala prabhu bangaya, Satpath dikaa diya
4. Ghure ke Dher se prabhu, Tune utha liya
Phakir aur daridra ko, Raja bana liya
