#329Hindi Spiritual Song
Yeeshu Ke Peeche Peeche
Yeeshu ke peeche peeche - chala jha raha hun mei
Kroos apna mei uttaaye - chala jha raha hun mei
Usske hriday ke anusaar - Ab bann raha hun mei
1. Balidaan mere prabhu ka - kitna adbut hai
Praan de karr pramaan kiya - woh mere liye hai
Yaad karthe mei ab usko - chala jha raha hun mei
2. Sansaar ke sundartha - jho mujhe Ab naa behkaayega
Saitaan ki yuktiyaan - sab kuch kaam ab naa kare
Yeeshu ki vaani sunn kar - chala jha raha hun mei
3. Apni icha mei rakh kar - prasann waha hona chaahtha
Bali baaton ko sika kar - sidh kartha rehtha hai
Mahima prabhu se paane - chala jha raha hun mei
