#330Hindi Spiritual Song
Yahowa Charwaha Mera (Psalm 23)
Yahowa charwaha mera, Koi ghati mujhe nahin hai
Hari charaiyon men mujhe, Sneh se chalata Wah hai
1. Mrityu ke andhkar se, main jo jata tha
Prabhu Yishu karuna se, tasalli mujhe di hai
2. Shatruon ke samne, mez ko bichata hai
Prabhu ne jo taiyar ki, man mera magan hai
3. Sir par Wah tel mala hai, abhishek mujhe kieya hai
Dhil mera bhar gaya hai, aur umar bhi raha hai
4. Sarwada Prabhu ghar men, karunga niwas jo main
Karuna bhalai bhi Us ki, anandit mujhe karti hai
